moon.jpg (3439 bytes)
DESI SHAYERI (POETRY)
yeh ishq nahin hain aasaan, ek aag ka darya hai, aur doob ke jaana hai......

MIXED SHAIRS PART I  |  MIXED  SHAIRS PART II |  MIXED SHAIRS III |  MIXED SHAIRS IV

  FUNNY SHAYERI  |  GHAZALS  | 

MISCELLANEOUS SHAIRS (POEM) : PAGE 1

 

Shaam Hote Hi Chiragon Ko Bujha Deta Hoon
Yeh Dil Hi Kaafi Hai Teri Yaad Main Jalne Ke Liye

Yeh Teri Bhi Aankhon Ka Qusur Hai
Main Tanha Gunahgar To Nahi

In Hi Patharon Pe Chal Ke, Aaa Sako To Aao
Hamaare Ghar Ke Raste Koi Kahkashan Nahi

Kafas Udas Hai yaaro, Subah Se Kuch To Kaho
Kahin To Behr-E-Khuda Aaaj Zikr-E-Yaar Chale

Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar
Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah       
Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen     
Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah                

Mast Nazron se dekh lenaa tha..         
Agar tamanna thi aazmane ki..             
Hum to behust youn hi ho jaate..
Kya zaroorat thi muskurane ki.. 

Chehrey Per Banawat Ka Gussa,
    Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai,
Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye                     
Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai. ---- (By Azher)

Jo Saaz Se Nikli Hai, Woh Sada Sab Ne Suni Hai
Jo Saaz Pe Guzri Hai, Woh Kis Dil Ko Khabar Hai

Aaa Sikander-E-Hunar Aaazmayain
Tu Teer Aaazmaaa, Hum Jigar Aaazmayain

Mere Dil Main Koi Aawaz Ubhar Aati hai
Tere Hi Baal Bikhar Jaata Hain Diwaron Pe
Teri Hi Shakal Kitabon Main Nazar Aati Hai

Satchaye Chup Nahi Sakti, Banawti Usulon Se
Khushbu Aa Nahi Sakti, Kagaz Ke Phoolon Se

Tu Is Tarah Se Mere Dil Main Shamil Hai
Jahan Bhi Jaoon Lagta Hai Teri Mahfil Hai

In Main Moti Hai Ke Pathar, Kise Khabar
Dil To Samundaron Se Bhi Gahra Hai Dosto

Zindagi ek phool hai aur mohabbat us ka shehed
Pyar Ek Dariya Hai, Aur Mehmoob uski sarhad

Raste Main Gire Hain Phool, Uthata Hai Koi Koi
Muhabbat Karte Hain Sabhi, Nibhata Hai Koi Koi

Faasle Jism Ko To Dour Le Jaate Hain
Par Dilon Ke Shahar To Ujarte Nahi      
Aankhon Se Aankhon Ka Rishta Tut Jaye Bhi To
Saath Dekhe Hue Khwab To Mit Te nahi               

     Apne Aagaaz Se Aaaj tak Zindagi
Teri Hi Yaad Main Gum Rahi    
Phir Bhi Jaane Kyon Yeh Ihsaas Hai     
Jaise Chaahat Meri Kam Rahi                   

Ek Musafir Ne Raat Pichlay Pahar
Apne Mehboob Ke Na Aane Par   
Kar Diya Taj Mahal Ke Tukre                
Aab-E-Jamuna Main Phaik Kar Pathar

Kal Mila Waqt To Zufain Teri Suljha Doonga  
Aaaj Uljha Hoon Zara Waqt Ke Sulajhne Main 
Yoon To Sulajh Jatee hain Uljhee Zulfain
Umar Kat Jati Hai Waqt Ke Sulajhne Main

Dil Ko Manana Gar Hota Aaasaaan        
Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan   
Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan

Sookh Jaate Hain Lub, Lufz Milte Nahi
Hota Nahi Humse Ishq Bayaan              
Unhe Kaise Bataoon Dil Ki Lagi
         Kaise Sikhaoon Aankhon Ki Zubaan

Hum Bewafa Har Giz Na Thay       
Par Hum Wafa Kar Na Sakay        
Humain Mili Us Ki Saza
       Jo Khata Hum Kar Na Sakay

Khudaa jab husn deta hai              
nazaakat aaa hi jati hai                   
       Kadam chun chun kar rakhti ho
kamar balkha hi jaati hai     

Aansoon ko aankhon ki dehleez par laya na karo
Apne dil ki haalat kisi ko bataaya na karo               
      Log muth-thi bhar namak liye ghooma karte hain

Apne Zakham kisi ko dikhaaya na karo               

Yeh hawa ka koi jhonka nahi
Teri yaadon ka ek samundar hai

Mohbbat karna koi zulm nahi,     
Agar ki jaye usool se,                   
Khuda ko bhi muhabbat thi,
Apne rasoul se                      

Mujhe bhulna bhi chaho to bhula na sako ge
Main to palkon pe thahar jaoon ga, aaansoon ki tarah

Tum badle, jahan badla, badli nazar zamane ki
Yeh Aansu char baqi rah gaye, nishani dil lagane ki

Pyar main jadoo bhi kya maza hai
Lagta hai ke ek khubsurat saza hai

Chaand raaat ko sabhi dekhain, hilaal-e-eid ko       
Ik hamara hi naseeba hadiyan turva gaay               
Hum the chaand ke nazaare main khoye hue
  Bus achanak chand ka abba wahan pe aa gaya

Hui hum se ye nadani,             
Kay teri mehfil mein aa baithe
Ho kay zameen ki khakh
Aasman se dil laga baithe

         Dil si cheez hai, dene ko hai de day
Magar koi qabeel bhi to ho     
Hum to jaan de kay bhi khush hain
Magar koi qateel bhi to ho                

Teri aur meri nazar ka na kabhi baer ho
Lo raah main takra gaye, allah khair ho

Galat nahi ke zamane main lajawaab hain hum
Samajh sake na koi, woh kitaab hai hum

Dhoondhta Phirta Hoon Main Logon Main Shabahat Uski
Ke Woh Khwabon Main Bhi Lagti Hai Khyalon Jaisi

Ek Naam Kya Likha Tera Saahil Ki Rait Par
Phir Umar Bhar Hawa Se Meri Dushmani Rahi

Tere Aazad Bande Ki, Na Yeh Duniya Na Woh Duniya
Yahan Jeene Ki Pabandi, Wahan Marne Ki Pabandi

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
            Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
       Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi      
          Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
      Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi
Kise majaal kahe koi mujh ko deewana  
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi

Ishq ke phool bhi khilte hain, bikhar jaate hain
zakhm kaise bhi hon, kuch roze main bhar jaate hain
Us khwabon main ab koi nahi aur hum bhi nahi
Itne roze se aaye hain, chup chaap guzar jaate hain
Nurm aawaaz, bholi baatain, mohazzab lehjaa
Pehle baarish main hi, sab rang utar jaate hain
Raasta roke khari hai, wahi uljhan kab se
Koi puche to kahen kya ke kidhar jaate hain

  Jab Paas Ho To Rukh Se, Nigahain Na Morna
Jab Dour Ho To Mera, Tasavvur Na Chorna
Aye Dost!!! Dil Lagane Se Pehle Ye Sonch Le             
Mushkil Bahut Hai, Rishton Ki Zanjeerain hain Torna

Dekha Jidhar Yeh Payaa, Aalam Hijaab Ka
Jaali Ko Naam De Diya, Humne Niqaaab Ka
Dukh Ki Tabash Hai, Dharkanain Tanhaiyan Bhi Hain
Yeh Zindagi Hai Jaise, Din Ho Hisaab Ka --(By Umber)

Woh To Khushbu Hai, Hawaon Main Bikhar Jayega
Masla Phool Ka Hai, Phool Kidhar Jayega                 
       Hum To Samjhe The Ke ik Zakham Hai Bhar Jayega
Kya Khabar Thi Ke Rug-E-Jaan Main Utar Jayega

Jab Se Hua Hai Woh Khwab Ki Tarah
  Zindagi Guzar Rahi Hai Azaab Ki Tarah
Khushbu Ke Kalam Se Shayad Likha Tha Usne Khut
Har Lafz Mahak Raha Hai Gulab Ki Tarah                      

Tu Aatish-E-Dozakh Se Darata Hai Jin hain
Woh Aag Ko Pee Jate Hain Paani Kar Ke

Ashq Mile To Pee Lete Hain
Aap Kahe To Mar Jayen Hum
Aap Kahe To Jee Lete Hain
Hum To Hain Un Phoolon Jaise       
Jo Kaaton Main Bhi Jee Lete Hain    

Tapish Suraj Ki Hoti Hai, Jalna Zameen Ko Parta Hai
Qusur Aankhon Ka Hota Hai, Tarapna Dil Ko Parta Hai

Mujh Se Mut Pouch, Mere Dil Ki Kahani O Hum-Dum
Is Main Kuch Parda-Nashinon Ke Bhi Naam Aate Hain

Jab Kishti Sabit Salim Thee, Sahil Ki Tamanna Kis Ko Thi
Ab Aise Shikasta Kishti Main Sahil Ki Tamanna Kaun Karey

Mausam Hai Mausam, Khushbu Aapke Zulfon Ka Naam
Mausam-E-Gul Hai, Aapke Baag Main Aa Jaane Ka Naam

In Udaas Muskurahaton Ke Peeche, Ghum Ke Railay Hain
Ab Tumhain Kya Batayain, Ke Tum Bin Kitne Akele Hain

Mujhe Is Baaat Ka Ghum Nahi Kay Badal Gayaa Zamaana
Meri Zindagi To Sirph Tum Ho, Kahin Tum Na Badal Jaana

Tasalli Ho Jayegi, Zara Itna To Bata Do
Tumhe Bhi Hitchkiyan Aati hain Jab Hum Yad Karte Hain

Zaruri To Nahi, Ke Batayain Labon Se Dastaan Apni
Zabaan Ek Aur Bhi Hoti Hai Izhaar Ki

Phool Khilna Chahta Hai, Kali Khilne Nahin Deti
Dil Milnaa Chahtaa Hai, Kismat Milne Nahin Deti

Jo Aala Zarf Hotey Hain, Woh Sar Kham Hi Rakhtey Hain
Suraahi Khud Nagoon Ho Kar Bhara Karti Hai Paimaney

Har Ek Baat Pe Kahte Ho Tum Ki Tu Kya Hai
    Tumhi Kaho Ki Yeh Andaz-E-Guftagu Kya Hai
Ragon Main Daurte Phirne Ke Hum Nahin Qayal
Jab Aankh Se Hi Na Tapka To Phir Lahoo Kya Hai

Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De      
Tera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar Jaane De  
      Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko
      Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De...

Yeh Bhi Aadab Hamare Hain, Tumhain Kya Malum           
Hum Tumhain Jeet Ke Harey Hain, Tumhain Kya Malum
Ek Tum Ho Ke Samajhte Nahi Hum Ko Apna               
    Ek Hum Hain Ke Tumhare Hain, Tumhain Kya Maalum

Falak Ke Teer Ka Kya Nishana Tha                      
Idhar Mera Ghar, Udhar Uska Aaashiyana Tha
  Puhunch Rahi Thi Kinare Pe Kashti-E-Umeed
Usi Waqt Is Tofaan Ko Bhi Yahaan Aana Tha

Aisa lagta hai zindagi tum ho
Ajnabee, kaise ajnabee tum ho?
   Main zameen par ghana andhera hoon

   Aasmaanon ki chaandini tum ho
Ab koi aarzoo nahin baakee

joostjoo meree aakhree tum ho
   Doston-se wafa ki ummeeden!

   Kis zamaane ke aadmee tum ho?

Tujhko dekhenge to sitare bhi Zia maangen ge
Pyaase teri zulfon se ghataa maange ge            
       Apne maathe se yun aanchal ko na sarkaa dena
  Varna buddhe bhi jawaani ki dua maange ge

Maana ke aapke nazaron main kuch nahin hain hum
Magar unse jakar puchiye jin-hain hasil nahi hain hum

Manzil ko paane ke liye Saahil ko paar karna parta hai
Mohabbat karne ke liye dil-o-jaan qurban karna parta hai...

Duniya bhar ki khushiyan hamare saath chali
Qadam mila ke jo hamare saath aap chali...

Aadi bana kar lazzat-e-aazaar ne mujhey
Gham ki khalish ko dil ki tamanna bana diya

Khuda kisi ko kis par fidaa na kare,
Agar kare to Qyamat tak judaa na kare