moon.jpg (3439 bytes)
DESI SHAYERI (POETRY)
yeh ishq nahin hain aasaan, ek aag ka darya hai, aur doob ke jaana hai......

| MIXED SHAIRS PART I  |  MIXED  SHAIRS PART II |  MIXED SHAIRS III |  MIXED SHAIRS IV

| FUNNY SHAYERI  |  GHAZALS  | 


MISCELLANEOUS SHAIRS (POEM) : PART II

 

Chehre pe haseen chaa jati hai
Aankhon main suroor aaa jata hai
Jab tum mujhe apna kahte ho
Apne pe ghuroor aa jata hai

Wada to ker lete hain
Nibhana bhool jate hain
Lagaaa kar aaag seene main
Bujhana bhool jate hain

Kuchh na kisi se bolenge
tanhaaii mein ro lenge
   hum be-rahabaron ka kyaa
   saath kisi ke ho lenge
Khud to hue rusvaa lekin
tera bhaid na kholenge
   jeevan zahar bharaa saagar
   kab tak amrit gholenge
neend to kya aaegii 'Faraz'
maut aai to so lenge.....
Ahmed Faraz

Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain...
Yeh haqeeqat to nigahon say bayan hoti hain
   Woh na aaye tou satati hai khalish see dil ko...
   Woh jo aaye to khalish aur jawan hoti hain
Rooh ko shaad karey dil ko jo purnoor karey...
Har nazaaray mein yeh tanveer kahan hoti hain
    Sabt-e-sehlaabay mohabbat ko kahan tak rokay...
    Dil mein jo baat ho aankho say ayaan hoti hain
Zindagi ek sulgati see chita hai `Sahir'...
Shola banti hain na yeh bhuj kay dhuaan hoti hain
    Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain
    Yeh haqeeqat to nikhaon say bayan hoti hain

Aisa lagta hai zindagi....
tum ho Ajnabee, kaise ajnabee tum ho?
   Main zameen par ghana andhera hoon...
   Aasmaanon-ki chandni tum ho
Ab koi aarzoo nahin baaki.........
justajoo meri aakhri tum ho
   Doston-se wafa ki ummeeden!........
   Kis zamaane ke aadmi tum ho?

Tu kahin bhi rahe sar pe tere ilzaam to hai
tere haathon ki lakiiron mein mera naam to hai .......
   Mujhko tu apnaa bana ya na bana teri Khushi
   tu zamaane mein mere naam se badnaam to hai .....
Mere hisse mein koi jaam na aayaa na sahi
teri mehfil mein mere naam koi shaam to hai ....
   Dekh kar log mujhe naam tera lete hain
   is pe main Khush hoon muhabbat ka ye anjaam to hai .....
Woh sitamagar hi sahi dekh ke usko "Sabir"
shukr is dil-e-bimaar ko aaraam to hai ...
Sabir Jalalabadi

Badanaam mere pyaar kaa afsana hua hai
deewane bhi kahte hain ki deewana hua hai ........
   Rishta tha tabhi tou kisi be-dard ne todaa
   apnaa tha tabhi tou koi be-gaanaa hua hai ........
Baadal ki tarah aake baras jaaiye ik din
dil aap ke hote huye viraana hua hai ....
   Bajte hain Khayaalon mein teri yaad ke ghunghroo
   kuch din se mera ghar bhi pari-Khaanaa hua hai .....
Mausam ne banaya hai nigaahon ko sharaabi
jis phool ko dekhun wahi paimana hua hai ...

Apne haathon se yun chehre ko chhupaate kyon ho,
mujh se sharmaate ho tou saamne aate kyon ho,
   Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-vafa,
   pyaar karte ho tou phir pyaar chupaate kyon ho,
Ashk aankhon mein meri dekh ke rote kyon ho,
dil bhar aataa hai tou phir dil ko dukhaate kyon ho,
   In se vaabastaa hai jab mera muqaddar phir tum,
   mere shaanon se ye zulf hatate kyon ho,
Roz mar mar ke mujhe jeene ko kahte kyon ho,
milne aate ho to phir laut ke jaate kyon ho ...

Dost ban ban ke mile mujhko mitaane vaale
mai ne dekhe hain kai rang badalane vaale ........
   Tumne chup rahkar sitam aur bhi dhaayaa mujh par
   tumse acche hain mere haal pe hansne vaale...
Mai tou ikhlaaq ke haathon hi bikaa kartaa hoon
aur honge tere baazaar mein bikne vaale ......
   Aakhrii daur pe salaam-e-dil-e-muztar le lo
   phir naa lautenge shab-e-hijr pe ronevaale ...
Saeed rahi

Bhoolne waale se koyi keh de zara
is tarah yaad aane se kya faaida,
   Jab mere dil ki duniya basaati nahin
   phir khayaalon mein aane se kya faaida
Kya kahoon aapse kitni umeeden thi
Aap kya badle duniya badal si gayi,
   Aasra de ke dil tod te hain mera
   Is tarah sataane se kya faaida,
Chaar tinke jala ke kya mil gaya
Mit sakana zamane se mera nishaan,
   Mujhpe bijli girao to jaanu sahi
   Aashiaan par girane se kya faaida

Nahin lag sakta kabhi maikhane main taala
Ek nahin..do nahin...Saara shahar hai peene waala

Ruth gya hai mujhko manane waala
Ab koi nahi naaz mera uthaane wala
Per jaane kya sonchta hai
Yeh khula darwaaza
Shayad rasta bhool gaya, aaane waaala

Rait par likh ke mera naam mitaya na karo
aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya na karo
   log har baat ka afsana bana lete hain
   sab ko haalaat ki rudaad sunaya na karo
ye zaroori nahin har shakhs masiha hi ho
pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaya na karo
   shahar-e-ehsaas mein pattharaav bahut hain "Mohsin"
   dil ko shiishe ke jharonkhon mein sajaaya na karo

Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi
baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi
   Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin
   ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi
Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo
usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi

Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,
   Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
   lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,
Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,
   Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
   kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi.....

Koi ummeed bar nahin aati
Koi soorat nazar nahin aati
   maut ka ek din muayyan hai
   need kyon raat bhar nahin aati
aage aati thi hale dil pe hansi
ab kisi baat par nahin aati
   janta hoon sababe-taato-zahad
   par tabeeat idhar nahin aati
Hai kuchh aisi hi baat
jo chup hoon, varna kya baat kar nahin aati
   kyon na cheehkoon ki yaad karte hain
   meri awaaz gar nahin aati
marte hain aarzoo me marne ki
maut aati hai par nahin aati
   kaba kis munh se jaoge Ghalib
   sharm tumko magar nahin aati

Aye mohabbat tere anjaam pe rona aaya,
Jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya..
   Yun to har shaam ummeedon me guzar jaati thi,
  Aaj kuch baat hai, jo shaam pe rona aaya..
Kabhi taqdir ka maatam, kabhi duniya ka gila,
Manzil-e-ishq me har gaam pe rona aaya...
   Jab hua zikr zamaane me mohabbat ka
  Mujhko apne dil-e-bekaam pe rona aaya.....

Koyi dost hai na koi rakeeb hai
Tera shaher kitna ajeeb hai
   Yahan kiska chehra pada karoon
   Yahan kaun itna qareeb hai
Main kis se kahoon mere saath chal
Yahan sab kay sar par saleeb hai

Aaj ujaali ki kiran kho gayi
zindagi veraan se ho gayi,
   gaye woh din
   jab humne unse umeed rakha
Aaj yeh khoob ho gaya
ki humain mohabbat se nafrat ho gayi

Is hasrat se mila kya mujhko
Ik jhalak mere dildaar ki
   Is muhabbat se mila kya mujhko
   Bechaini-o-beqarari yaar ki,
Is ashiqui se mila kya mujhko
Ik sunahari raah ishq ki,
  Aur tere pyaar se mila kya mujhko
  Ik raah jeene ki hamvaar si.

Na jee bhar ke dekhaa na kuch baat ki,
badi aarzoo thi mulaqaat ki,
   Kaye saal se kuch Khabar hi nahin,
   kahaan din guzaaraa kahaan raat di,
Main chup tha tou chalti hawa ruk gayi,
zubaan sab samajhte hain jazbaat ki,
   Sitaaron ko shaayad khabar hi nahin,
   musaafir ne jaane kahaan raat ki...

Chaman ki bahaaron mein tha aashiyana
na jaane kahan kho gaya vo zamana
   tumhen bhuulane ki main koshish karunga
   ye vaada karo ke na tum yaad aana
mujhe mere mitne ka gam hai to ye hai
tumhen bevafaa kah raha hai zamana
   Khudara meri qabr pe tum na aana
   tumhen dekh kar shaq karega zamana


S   T   R   I   C   T    L   Y       F   O    R       L   O   V    E   R   S

" Woh puchte hain hum se yeh shayeri ka sabab
Kya kahain unhain, yeh sukun-e-dil hai mahaz"
                                                            

 

 

Jub se tu aaye meri zindagi main

Her lamha teri chaah hai
Her pal ko teri  aarzoo hai
Her dharkan main teri yaad hai
Aur her zarrre ko teri hee pyaas hai

Guzri thi kuch is tarah se zindagi yeh tere qabal
Jaise isko teri hi, tere pyar ki, tere justajoo ki talaash hai

Aur ab to yeh aaalam hai mere hum-nasheen
Ke tu nahi to duniya main kuch bhi nahi
sonch kar bhi tujhe na haseel karne ka gumaan
Is dil ko dharakne ki aaarzoo bhi nahi..................


Har Kashti-E-Manzil Sahil Hai To Kya    
    Hamari Manzil-E-Ishq To Sirph Tum Ho  
Yeh Dil Dharakta Hai Har Pal To Kya
Is Dil Ki Dharkan To Sirph Tum Ho
   Zindagi Dee Is Rab Ne To Kya                    
    Is Jeene Ka MaQsad To Sirph Tum Ho     
Yeh Jaan Jayegi Kisi Din To Kya
Is Dil-E-Malka To Sirph Tum Ho

Tumhe Khud Nahi Malum Ke Tum Kya Ho
    Jaise Badlon Ke Pitche Chaand Chupa Ho
Inhi Adaaon Pe Hain Hum Mushter Tere           
Yehi Waja HAI Ke Tum Auron Se Yoon Juda Ho

Aaj nahi, kal nahi, sadiyon ki yehi kahani hai
Kaun jeeta hai pyar main Humayun, sab ne thokar khani hai

Meri muskurahaton ki likhawat pe na jao
Is main dard ki siyahi hai kaash unhain hota malum

Aaye bhi to na ho saka, didar-e-yaar ka
Raste main hi thahra yeh, paigham pyar ka
Tassalli hum ne khud ko kuch is tarah diya
Mil gaye to na chorenge ab daamun phir yaar ka

Manga na tha kabhi rab se
Na koi aarzoo thi zindagi se
Tujhe dekhte hi ek dua ki
Ab chahe tu rahe, ya yeh zindagi

Dillagi se unke hum, dil hi kho baithe
Rooh rahi hamari, her sukoon kho baithe
Kise malum tha yeh chandni hogi chund lamhon ki
Raat to aati hai lekin, neend hi kho baithe
Dil ka aalam to ab kuch yoon hai Humayun
Saans to rahi lekin, woh dharkan kho baithe
Yeh zakham bhi kaafi nahi tha is dil-e-naadan ko
Us bewafaa ko bhi hum, sung-e-dil samajh baithe
Thokrain dee unhon ne kuch is tarah se humko
Apne aansoonon ko bhi hum shabnam samajh baithe
Kya zalim woh ishq bhi tha humayun
Chor to diya use, per khud ko hi kho baithe

 

Kuch gussa, kuch nakhra, kuch iltija bhi hai aap ki
Hum se ruthna, hamain satana,

tarpane ki adaa bhi hai aap ki
Her baat pe hansna, her pal muskurana,
Her baaton se dil dharkana
Apni sharmili nazron se, surkh honthon se,

her saanson ko choo lena
kya kya kare yeh dil afsaane byaan aap ke
aap maseeha-e-ishq hain, yeh bandaa khaadim hai sirf aap ka

Har Kisi Se Zyada, Bus Khuda Se Kum
    Hamain Itni Muhabbat Hai Tumse Sanam
Ab Chahe Parain Ishq Main Jitne Sitam
Tumhe Paana Hai Chaahe Jitne Ho Ghum
    Labon Ne Na Bola, Par Is Jahan Ki Kasam
    Agar Hota Jayaz, Pujte Tum Ko Hum

Phoolon Se Atchi Us Ki Khushboo
Kaliyon Se Pyari Uski Muskaaan,
Sitaaron Sa Chamakta Hua Chehra
Koyal Si Meethi Zabaaan,
Chaand bhi chup jaye yeh kah ke
Aaasmaan pe ab kya mera kaam,
Chandni to aaa nikli zameen se
Kaisi hai yeh qudrat ki shaan,
Fursat Se Banaya Hoga Rub Ne
Farishton Ka Nahi Yeah Kaaam,
Mittti Se Bane Hain Hum Sab
Us Main Sona Ko Milaya Hoga,
Hoooron Ne Bhi Husrat Se Dekha Hoga
Pariyon Se Sunder Yeah Insaaan,
Alfaaaz Bhi Kum Parte Hain Kahne Ko
Aisi Hai Meri Jaaaaaaaaan

Yeh na kah sakta main, kal kya de sakoonga
par hai yeh waada wafa ka, tujh ko dil main rakhoonga
gar chali gaye mujh se, ek qadam bhi jo tum aaage
yeh na bhoolna sanam, har kasam main rakhoonga
moor ke jo tum dekho, aur nazar main gar aaaooon
bewafa na tum kahna, warna main ro paroonga
agar hue jo na poore, kal armaaan apne dil ke
rub ki marzi samajh kar, mujhe bakhsh dena
mujh ko rokegi na koi sargosh-e-dil ki
is toote khwab ke, saye par bhi main chaloonga

Kis ko khabar thi ke yeh aftaab ghuroob ho jayega
Uska chiraagh-e-dil mujh pay ayoob ho jayega       
              Hum ne unki Silvaton ko bhi lahron ka darjaa diya
      Kya pata tha Ghussa unko khoob ho jayega



Kaise Kahoon Main Tum Se,  Apne Is Dil Ki Baat
    Himmmmat To Ki Itni,  Labon Ne Par Na Diya Saath
Apni Yeh Chaahat Le Kar                 
Karoon Main Ab Tujhse Kya Izhaar
    Din To Kat Jaate Hain
    Kat ti Nahi Yeh Raaat

Hota hai kabhi aisa
In shaam ki fizaaon main
Madhosh hote hain do dil
Ek duje ke hon jab bahon main...........
Hota hai kabhi aisa
Ho chaandni jab khul ke raaton main
So jaaten hain her aashiq
Kho ke mehboob ki yaadon main.........
Hota hai kabhi aisa
Jab khushboo uski her saanson main
Tarpaati hai yaad sanam ki
Thandi thandi raaton main............
Ho jayega ab aisa
In hi baaton baaton main
Tum ho jaogi yoon meri
Jaise do jism ho ek saanson main ..............

           Teri Judaai Se Hai Duniya Ka Her Ghum
    Yaadain Teri, Mere Dil Ka Mur-Hum
Khyalon Main Ho Tum Mere Her Dum 
Bus Jao Aaa Ke Dil Main Aye Hum Dum

 

Tera Chehra, Teri Yaadain
     Her Pal Mere Saath Raheeen
Teri Batain Dharkan Ban Ke       
Rug Rug Main Din Raat Baheeen
          Neend Uri Aaankhon Se Ab To
    Jeena Bhi Dushwaaar Hua 
Tu Hai Ab Is Dil Ki Dharkan        
Main Tera Dil Daar Hua                 

      Pyar Me Main Us Ke, Duniya Ko Bhula Doonga
     Dil Ka Rishta Hai, Main Jaan Luta Doonga
     
Phoolon Si Meri Janam, Kanton Main Na Ulajh Jaye   
Her Zakhm Uske Dil Ke, Apne Seene Pe Utha Loonga
    Ishq Yeaaaah Mera, Use Maghroor Kar Jaye
Toot Ke Main Us Ko, Itna Use Chahoonga  
Bus Yehi Dua Hai Meri, Woh Bani Rahe Her Dum Meri
Mili Gar Woh Na Mujhe, Kaise Jeee Paaaoonga           

Jis ki khushboo se hai phoolon ki mahak
    Jis ki saanson se chale thandi pawan (hawa)
Jis ki aankhon ki chamak se duniya raushan
Jis ki her baat aisi jaise shayar ki ghazal

Jis ke husn se lage chandon ko grahan
Woh koi khwab nahi, tum ho hum dum

Is dil ne tujh main jaane kya dekha
Zindagi ki dhoop, muhabbat ka saweraa dekha
Khoye khoye si zindagi thee meri
Tu aaye to khuli aankh ne bhi sapna dekha
Jo aati hai tu hut te hue aanchal se nazar
Aisa lagta hai badlon ke peeche se chaand ka chehra dekha
Jis ki talaash thee is veerane dil ko ab tak
Tujh main woh khushi, her lamha woh SUNAHRA dekha

Chahak Uthi Hai Har Ek Shaye Is Zamaane Main
     Teri Aamud Se Mere Dil Ke Aashiyane Main

Ise Nadaani Kaho Ya Pyar, Chahe Ishq Ka Parwaaz
    Yeh Diwangi Sahi, Par Sirph Dillagi Nahi

Kal na kah saka tha main tum se
Aaj na kah paoonga phir tum ko
Kal phir kya ho kis ko maloom
Kyon na phir aaj hi kah doon yeh tum se
Hamain mohabbat hai, sirf, aur sirf tum se
Ab chahe jo kal ko ho manzoor
Ab chahe jo aaj ho mumkin
Hum ne kar di iqbal e ishq ki
Ab jo saza ho woh qubul hai

Kahaan Se Shuru Karoon Afsane Apne,Kahaan Tamaam Karoon
     Apni Muhabbat Ka Hi Bas Main Ab Kalaam Parhoon
Na Waldain Ki Izzat Ki Jitni                                      
Apni Dilbar Ka Main Itna Ihtiraam Karoon        
     Jab Tak Zindagi Se Na Wabista Woh Mere    
          Apne Khwabon Main Hi Unko Mehmaan Karoon
Dastoor-E-Duniya Se Mujhe Kya Lena
                 Ab Chahe Khud Ko Hi Kyon Na Badnaam Karoon
     Agar Degree Bhi Na Mili To Kya Gham Hai           
     Apne Mahboob Ko Agar Apne Naam Karoon      
Apni Nakaami Ka Na Hai Dar Mujhe                              
Bus Dar Hai Khud Ko Na Viraaan Karoon                     
     Ab Zindagi Se Koi Aarzoo Hi Nahi                
                 Bus Marne Se Pehle Apna Yeh Ek Kaam Karoon

 


| MIXED SHAIRS PART I  |  MIXED  SHAIRS PART II |  MIXED SHAIRS III |  MIXED SHAIRS IV |

| FUNNY SHAYERI  |  GHAZALS  | 


Back
1