moon.jpg (3439 bytes)
DESI SHAYERI (POETRY)
yeh ishq nahin hain aasaan, ek aag ka darya hai, aur doob ke jaana hai......

| MIXED SHAIRS PART I  |  MIXED  SHAIRS PART II |  MIXED SHAIRS III |  MIXED SHAIRS IV |  

| FUNNY SHAYERI  |  GHAZALS  |  

G H A Z A L S

 

Kabhi Kabhi Mere Dil Main Yeh Khayaal Aataaa Hai 
Ke Zindagi Teri Zulfon Ke Naram Chaon Main
Guzar Na Paati To Shadaab Ho Bhi Sakti Thi
Yeh Teergee Jo Meri Zeesth Ka Muqaddar Hai
Teri Nazar Ki Shu'aun Main Kho Bhi Sakti Thi
Magar Yeh Ho Na Sakaa, Aur Ab Yeh Aalam hai
Keh Tu Nahi, Tera Ghum, Teri Justaju Bhi Nahi
Guzar Rahi Hai Kuch Is Tarah Zindagi Jaise
Isay kisi ke Sahaaray Ki Aarzoo Bhi Nahi
Na Koi Yaadain, Na Manzil, Na Roshni Ka Surag
Bhatak Rahi Hay Khyalon Main Zindagi Meri
Inhee Khyalon Main Reh Jaaon Ga Kabhi Kho Kar
Main Jantaa Houn Meri Hum-Nafas Magar Yu Heen
Kabhi Kabhi Mere Dil Main Yeh Khayaal Aataaa Hai

Ghar Se Nikalte Hi....Kuch Door Chalte Hi............. 
Raste main hai uska ghar,

Kal subah dekha to, baal banati woh, khirki main aaaye nazar
ghar se nikalte hi..........
Masoom chehra, nichi nigahain....bholi si ladki, bholi adaayain
Na apsara hai, na woh pari hai
Lekin yeh uski.....jaadugari hai
Diwana kar de woh, is rang bhar de woh, sharma ke dekhe jidhar
ghar se nikalte hi, kuch door chalte hi, raste main hai uska ghar.......
Karta hoon uske, ghar ke main phere
Hansne lage hain, ab dost mere....
such kah raha hoon, uski kasam hai.....
main phir bhi khush hoon, bus ek gham hai
jise pyar karta hoon, main jis pe marta hoon, Usi ko nahi hai khabar
ghar se nikalte hi......
Ladki hai jaise, koi paheli.....kal jo mili mujh ko uski saheli,
Maine kaha usko, jaa ke yeh kahna,
Atcha nahi hai, yoon door rahna,
Kabhi shaam nikle woh, ghar se tahalne ko, milna jo chahe agar....
Ghar se nikalte hi, kuch door chalte hi......raste main hai uska ghar......

Kabhi yoon bhi to ho, Kabhi yoon bhi to ho
   
Dariya ka saahil, pooray chaand ki raat ho,.... aur tum aaao,
    Kabhi yoon bhi to ho, Kabhi yoon bhi to ho
   Pariyon ki mahfil, koyeee tumhari baaat ho,.....aur tum aaao,
Kabhi yoon bhi to ho, Kabhi yoon bhi to ho
Yeh naram mulaim thandi hawayain, Jub ghar se tumhare guzrain,
tumhari khushboo churayain, mere ghar le aayain,
Kabhi yoon bhi to ho, Kabhi yoon bhi to ho
   Soooni her mahfil ho, koi na mere saath ho,.....aur tum aaao,
Kabhi yoon bhi to ho, Kabhi yoon bhi to ho
    Yeh baadal aise toot ke barse, mere dil ki tarah tumhara dil bhi tarse
tum niklo udhar se
Kabhi yoon bhi to ho, Kabhi yoon bhi to ho
Tanhayeee ho, dil ho, ......boondain ho, barsaat ho....aur tum aaao,
Kabhi yoon bhi to ho, Kabhi yoon bhi to ho
Dariya ka sahil, poore chaand ki raat ho,.....aur tum aao,
Kabhi yoon bhi to ho, Kabhi yoon bhi to ho

Main Aur Meri Tanhaiyan - Aksar Yeh Baatain Karte Hain
Tum hoti to kaisa hota,

Tum yeh kahti, tum woh kahti,
Tum is baat pe hairaaan hoti, tum us baat pe kitna hasti,
Tum hoti to aisa hota, tum hoti to waisa hota,
Main aur meri tanhaiyan - aksar yeh baatain karte hain
======
Yeh raat hai ya tumhari zulfain khuli hui hain,
Hai chandni ya tumhari nazron se meri raatain dhuli hui hain
Yeh chaand hai ya tumhara kangan, sitarain hain ya tumhara aanchal,
Hawa ka jhoka hai ya tumhare badan ki khushboo,
Yeh pattiyon ki hai sarsarahut, ke tumne chupke se kuch kaha hai,
Yeh sonchta hoon main kab se gum sum - Ke jab ke mujhko yeh bhi khabar hai
Ke tum nahi ho, kaheen nahi ho,......magar yeh dil hai ke kah raha hai
Ke tum yaheen ho, yaheen kaheen ho !
=========
Majbooriyon ki haalat, idhar bhi hai, udhar bhi,
Tanhaye ki ek raat idhar bhi hai udhar bhi,
Kahne ko bohot kuch hai magar kis se kahe hum
Kab tak yoon hi khamosh rahain aur sahe hum
Dil kahta hai duniya ki har ek rasam uthaa dain
Diwar jo hum dono main hai aaj giraa dain
Kya dil main sulagte rahain, logon ko bata dain,
Haan hum ko Mohabbat hai - Mohabbat hai - Mohabbat
Ab dil main yehi baaaat, idhar bhi hai udhar bhi......
Sab ko bata dain.........

Ab Ke Hum Bitchre To Shayad Kabhi Khawbon Main Mile
Jis Tarah Sukhay Hue Patte Kitabon Main Mile
Dhoond Ujray Hue Logon Main Wafa Ke Moti
Ye Khazane Tujhe Mumkin Hai Kharabon Main Mile
Ghum-e-Duniya Bhi Ghum-e-yaar Main Shamil Kar Loon
Nasha Barhta Hai Sharabain Jo Sharabon Main Mile
Tu  Khuda Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa
Dono Insaan Hain To Kyon Hijabon Main Mile
Aaj Hum Dar Ye Khainchainge Jin Baton Par
Kya Ajub Kal Woh Zamane Ko Nasibon Main Mile
Ab Na Woh Hain, Na Woh Tu Hai, Na Woh Maze Hain Faraz
Jaise Do Shakhs Tamanna Ke Sailabon Main Mile
Ab Ke Hum Bitchre To Shayad Kabhi Khawbon Main Mile

ye tera ghar ye mera ghar, kisi ko dekhana ho gar
ye teraa ghar ye meraa ghar kisii ko dekhanaa ho agar
to pahale aake maa.Ng le merii nazar terii nazar
na badalo.n kii chaa.Nv me.n na chaa.Ndanii ke gaa.Nv me.n .... na phuul jaise raaste bane hai.nis ke vaaste
magar ye ghar ajiib hai zamiin ke qariibhai
ye ii.NT pattharo.n kaa ghar hamaarii hasarato.n kaa ghar
jo chaa.Ndanii nahii.n to kyaa ye roshanii hai pyaar kii
dilo.n ke phuul khil gaye to fikr kyaa bahaar kii
hamaare ghar naa aayegii kabhii Khushii udhaar kii
hamaarii raahato.n kaa ghar hamaarii chaahato.n kaa ghar
yahaa.N mahak vafaao.n kii hai qah-qaho.n ka ara.ng hai
ye ghar tumhaaraa Khvaab hai ye ghar merii uma.ng hai
na aarazuu pe qaid hai na hausale par ja.ng hai
hamaare hausale kaa ghar hamaarii himmato.n kaa ghar

| MIXED SHAIRS PART I  |  MIXED  SHAIRS PART II |  MIXED SHAIRS III |  MIXED SHAIRS IV |

FUNNY SHAYERI  |  GHAZALS  | 


 

Back
1