kuchh na kisi se bolenge tanhaaii mein ro
lenge hum be-rahabaron ka kyaa saath kisi
ke ho lenge Khud to hue rusvaa lekin tera bhaid na
kholenge jeevan zahar bharaa saagar kab
tak amrit gholenge neend to kya aaegii 'Faraz' maut aai to so
lenge.....Ahmed Faraz
Ranjish hi sahi dil hi dukhane
ke liye aa aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye
aa....... Pahale se maraasim na sahii phir bhi kabhi
tou rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye
aa.... Kis kis ko batayenge judaai ka sabab ham tu mujhse khafaa
hai tou zamaane ke liye aa ......... kuch tou mere
pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh tu bhi to kabhi mujh ko
manaane ke liye aa..... ek umr se hoon lazzat-e-giriyaa se bhi maharuum
aye raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa... ab tak
dil-e-khushfeham ko tujh se hain ummiden ye aakharii
shammen bhi bujhaane ke liye aa
....Ahmed faraz
kuchh na kisi
se bolenge tanhaaii mein ro lenge hum be-rahabaron ka
kyaa saath kisi ke ho lenge Khud to hue rusvaa
lekin tera bhaid na kholenge jeevan zahar bharaa
saagar kab tak amrit gholenge neend to kya aaegii
'Faraz' maut aai to so lenge.....Ahmed Faraz
Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti
hain... Yeh haqeeqat to nigahon say bayan hoti hain Woh
na aaye tou satati hai khalish see dil ko... Woh jo aaye
to khalish aur jawan hoti hain Rooh ko shaad karey dil ko jo purnoor
karey... Har nazaaray mein yeh tanveer kahan hoti
hain Sabt-e-sehlaabay mohabbat ko kahan tak
rokay... Dil mein jo baat ho aankho say ayaan hoti
hain Zindagi ek sulgati see chita hai `Sahir'... Shola banti hain na
yeh bhuj kay dhuaan hoti hain Kaun kehta hai
mohabbat ki zuban hoti hain Yeh haqeeqat to nikhaon
say bayan hoti hain
Aisa lagta hai zindagi.... tum ho
Ajnabee, kaise ajnabee tum ho? Main zameen par ghana
andhera hoon... Aasmaanon-ki chandni tum ho Ab koi
aarzoo nahin baaki......... justajoo meri aakhri tum ho
Doston-se wafa ki ummeeden!........ Kis zamaane ke aadmi
tum ho?
Tu kahin bhi rahe sar pe tere
ilzaam to hai tere haathon ki lakiiron mein mera naam to hai
....... Mujhko tu apnaa bana ya na bana teri Khushi
tu zamaane mein mere naam se badnaam to hai ..... Mere
hisse mein koi jaam na aayaa na sahi teri mehfil mein mere naam koi
shaam to hai .... Dekh kar log mujhe naam tera lete hain
is pe main Khush hoon muhabbat ka ye anjaam to hai
..... Woh sitamagar hi sahi dekh ke usko "Sabir" shukr is
dil-e-bimaar ko aaraam to hai ...Sabir
Jalalabadi
Badanaam mere pyaar kaa afsana
hua hai deewane bhi kahte hain ki deewana hua hai
........ Rishta tha tabhi tou kisi be-dard ne
todaa apnaa tha tabhi tou koi be-gaanaa hua hai
........ Baadal ki tarah aake baras jaaiye ik din dil aap ke hote
huye viraana hua hai .... Bajte hain Khayaalon mein teri
yaad ke ghunghroo kuch din se mera ghar bhi pari-Khaanaa
hua hai ..... Mausam ne banaya hai nigaahon ko sharaabi jis phool
ko dekhun wahi paimana hua hai ...
Apne haathon se yun chehre ko
chhupaate kyon ho, mujh se sharmaate ho tou saamne aate kyon ho,
Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-vafa,
pyaar karte ho tou phir pyaar chupaate kyon ho, Ashk
aankhon mein meri dekh ke rote kyon ho, dil bhar aataa hai tou phir
dil ko dukhaate kyon ho, In se vaabastaa hai jab mera
muqaddar phir tum, mere shaanon se ye zulf hatate kyon
ho, Roz mar mar ke mujhe jeene ko kahte kyon ho, milne aate ho to
phir laut ke jaate kyon ho ...
Dost ban ban ke mile mujhko
mitaane vaale mai ne dekhe hain kai rang badalane vaale
........ Tumne chup rahkar sitam aur bhi dhaayaa mujh par
tumse acche hain mere haal pe hansne vaale... Mai tou
ikhlaaq ke haathon hi bikaa kartaa hoon aur honge tere baazaar mein
bikne vaale ...... Aakhrii daur pe salaam-e-dil-e-muztar
le lo phir naa lautenge shab-e-hijr pe ronevaale
...Saeed rahi
Bhoolne waale se koyi keh de zara is tarah
yaad aane se kya faaida, Jab mere dil ki duniya basaati
nahin phir khayaalon mein aane se kya faaida Kya kahoon
aapse kitni umeeden thi Aap kya badle duniya badal si
gayi, Aasra de ke dil tod te hain mera Is
tarah sataane se kya faaida, Chaar tinke jala ke kya mil gaya Mit
sakana zamane se mera nishaan, Mujhpe bijli girao to jaanu
sahi Aashiaan par girane se kya
faaida
Bebasii jurm hai hauslaa jurm hai
zindagi teri ik-ik adaa jurm hai aye sanam tere
baare mein kuch sochkar apne baare mein kuch sochna
jurm hai yaad rakhna tujhe mera ek jurm tha bhool jana tujhe
doosra jurm hai kya sitam hai ke tere hasin shehar
mein har taraf gaur se dekhna jurm
hai
Sheeshe ke gharon main dekho
to Putther dil wale buste hain Jo pyar ko khail samajhte hain Aur
tor ke dil ko haste hain
Mohabbat kar ke dekhi to,
mohabbat ko pehchana hai Wafa bus naam ki hai, be-wafaai ka fasana
hai - Shehzad |
Gar hota
woh saqi apni aankhon ke jaam ka Gar milta na saqi sharab-e-haraam
ka Kiya ittefaaqat ne mujh ko barbaad wagarna Naam apna bhi hota
aala muqaam ka
Aur bhi cheezain bohot si lutt chukin hain dil kay saath Yeh
batayaa doston ne ishq furmane kay baad
Ab kamray ki ek ek cheez check karta hoon main Ek tere aane se
pehley, ek tere jaane kay baad
Kaate nahi kat te hain lamhe intezaar ke
Nazarein jama ke baithe hain raste pe yaar ke
Dil ne kaha dekhein jo jalwe
husn-e-yaar ke Layaa hai koun inko, phalak se utaar ke
Ishq ke lamhe sharaab lagte hain Kuch chehre mehtaab lagte
hain Dukh itne sahe mohabbat main guzre hue Ke har lamhe hi azaab
lagte hain
Na tum bewafa ho, na hum bewafa
thay Magar kya karain apni rahain juda hain
Hai kuch baat mo-min jo chaa gaye
khamoshi Kis bout ko de diya dil, kyon bout se ban gaye
ho
Maana ke aapke nazron main kuch nahin
hain hum Magar unse jaakar poochiye .. jinhe haasil nahin hain
hum
Nahin lag sakta kabhi maikhane main
taala Ek nahin..do nahin...Saara shahar hai peene
waala
Rait par likh ke mera naam mitaya na
karo aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya na karo log
har baat ka afsana bana lete hain sab ko haalaat ki
rudaad sunaya na karo ye zaroori nahin har shakhs masiha hi ho
pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaya na karo
shahar-e-ehsaas mein pattharaav bahut hain "Mohsin" dil
ko shiishe ke jharonkhon mein sajaaya na karo
Daastaan-e-gham-e-dil unko
sunaii na gayi baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi
Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin
ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi Ishq par
kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo usne jo aag lagaa di woh bujhaai
na gayi
Mana teri nazar mein tera pyaar
hum nahi, kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi, Khud
ko jala ke khak kar dala, mita diya, lo ab tumhari raah
mein dewaar hum nahi, Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon
se, gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi, Dhokha
diya hai khud ko muhobbat ke naam se, kaise kahen ki tere
gunahgaar hum nahi.....
Koi ummeed bar nahin aati Koi soorat nazar
nahin aati maut ka ek din muayyan hai need
kyon raat bhar nahin aati aage aati thi hale dil pe hansi ab kisi
baat par nahin aati janta hoon
sababe-taato-zahad par tabeeat idhar nahin aati Hai
kuchh aisi hi baat jo chup hoon, varna kya baat kar nahin
aati kyon na cheehkoon ki yaad karte hain
meri awaaz gar nahin aati marte hain aarzoo me marne ki maut aati
hai par nahin aati kaba kis munh se jaoge
Ghalib sharm tumko magar nahin
aati
Aye mohabbat tere anjaam pe rona
aaya, Jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya.. Yun to
har shaam ummeedon me guzar jaati thi, Aaj kuch baat hai, jo
shaam pe rona aaya.. Kabhi taqdir ka maatam, kabhi duniya ka
gila, Manzil-e-ishq me har gaam pe rona aaya... Jab hua
zikr zamaane me mohabbat ka Mujhko apne dil-e-bekaam pe rona
aaya.....
Koyi dost hai na koi rakeeb
hai Tera shaher kitna ajeeb hai Yahan kiska chehra pada
karoon Yahan kaun itna qareeb hai Main kis se kahoon
mere saath chal Yahan sab kay sar par saleeb
hai
Aaj ujaali ki kiran kho gayi zindagi veraan
se ho gayi, gaye woh din jab humne unse
umeed rakha Aaj yeh khoob ho gaya ki humain mohabbat se nafrat ho
gayi
Is hasrat se mila kya
mujhko Ik jhalak mere dildaar ki Is muhabbat se mila
kya mujhko Bechaini-o-beqarari yaar ki, Is ashiqui se
mila kya mujhko Ik sunahari raah ishq ki, Aur tere pyaar se
mila kya mujhko Ik raah jeene ki hamvaar si.
Na jee bhar ke dekhaa na kuch
baat ki, badi aarzoo thi mulaqaat ki, Kaye saal se kuch
Khabar hi nahin, kahaan din guzaaraa kahaan raat di,
Main chup tha tou chalti hawa ruk gayi, zubaan sab samajhte hain
jazbaat ki, Sitaaron ko shaayad khabar hi nahin,
musaafir ne jaane kahaan raat ki...
Chaman ki bahaaron mein tha aashiyana na
jaane kahan kho gaya vo zamana tumhen bhuulane ki main
koshish karunga ye vaada karo ke na tum yaad aana
mujhe mere mitne ka gam hai to ye hai tumhen bevafaa kah raha hai
zamana Khudara meri qabr pe tum na aana
tumhen dekh kar shaq karega zamana
Baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to
na thi jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi
le gaya cheen ke kaun aaj tera sabr-o-qarar be-qaraari
tujhe ae dil kabhi aisi to na
thi |