Jub se tu aaye meri zindagi
main
Her lamha teri chaah
hai Her pal ko teri aarzoo
hai Her dharkan main teri yaad
hai Aur her zarrre ko teri hee pyaas
hai
Guzri thi kuch is tarah se
zindagi yeh tere qabal Jaise isko teri
hi, tere pyar ki, tere justajoo ki talaash
hai
Aur ab to yeh aaalam hai mere
hum-nasheen Ke tu nahi to duniya main
kuch bhi nahi sonch kar bhi tujhe na
haseel karne ka gumaan Is dil ko dharakne
ki aaarzoo bhi nahi..................
Har Kashti-E-Manzil Sahil Hai To
Kya Hamari Manzil-E-Ishq
To Sirph Tum Ho Yeh Dil Dharakta Hai Har Pal To
Kya Is Dil Ki Dharkan To Sirph Tum Ho Zindagi
Dee Is Rab Ne To Kya
Is Jeene Ka MaQsad To Sirph Tum
Ho Yeh Jaan Jayegi Kisi Din To
Kya Is Dil-E-Malka To Sirph Tum
Ho
Tumhe Khud Nahi Malum Ke Tum Kya
Ho Jaise Badlon Ke Pitche Chaand Chupa
Ho Inhi Adaaon Pe Hain Hum Mushter Tere
Yehi Waja
HAI Ke Tum Auron Se Yoon Juda Ho
Aaj nahi, kal nahi, sadiyon ki
yehi kahani hai Kaun jeeta hai pyar main Humayun, sab ne thokar khani
hai
Meri muskurahaton ki likhawat pe
na jao Is main dard ki siyahi hai kaash unhain hota
malum
Aaye bhi to na ho saka,
didar-e-yaar ka Raste main hi thahra yeh, paigham pyar ka Tassalli
hum ne khud ko kuch is tarah diya Mil gaye to na chorenge ab daamun
phir yaar ka
Manga na tha kabhi rab se Na
koi aarzoo thi zindagi se Tujhe dekhte hi ek dua ki Ab chahe tu
rahe, ya yeh zindagi
Dillagi se unke hum, dil hi kho
baithe Rooh rahi hamari, her sukoon kho baithe Kise malum tha yeh
chandni hogi chund lamhon ki Raat to aati hai lekin, neend hi kho
baithe Dil ka aalam to ab kuch yoon hai Humayun Saans to rahi lekin,
woh dharkan kho baithe Yeh zakham bhi kaafi nahi tha is dil-e-naadan
ko Us bewafaa ko bhi hum, sung-e-dil samajh baithe Thokrain dee
unhon ne kuch is tarah se humko Apne aansoonon ko bhi hum shabnam
samajh baithe Kya zalim woh ishq bhi tha humayun Chor to diya use,
per khud ko hi kho baithe
Kuch gussa, kuch nakhra, kuch
iltija bhi hai aap ki Hum se ruthna, hamain
satana, tarpane ki adaa bhi hai aap
ki Her baat pe hansna, her pal muskurana, Her baaton se dil
dharkana Apni sharmili nazron se, surkh honthon
se, her saanson ko choo lena kya kya
kare yeh dil afsaane byaan aap ke aap maseeha-e-ishq hain, yeh bandaa
khaadim hai sirf aap ka
Har Kisi Se Zyada, Bus Khuda Se
Kum Hamain Itni Muhabbat Hai Tumse Sanam Ab Chahe
Parain Ishq Main Jitne Sitam Tumhe Paana Hai Chaahe Jitne Ho
Ghum Labon Ne Na Bola, Par Is Jahan Ki
Kasam Agar Hota Jayaz, Pujte Tum Ko
Hum
Phoolon Se Atchi Us Ki
Khushboo Kaliyon Se Pyari Uski Muskaaan, Sitaaron Sa Chamakta Hua
Chehra Koyal Si Meethi Zabaaan, Chaand bhi chup jaye yeh kah
ke Aaasmaan pe ab kya mera kaam, Chandni to aaa nikli zameen
se Kaisi hai yeh qudrat ki shaan, Fursat Se Banaya Hoga Rub
Ne Farishton Ka Nahi Yeah Kaaam, Mittti Se Bane Hain Hum Sab Us
Main Sona Ko Milaya Hoga, Hoooron Ne Bhi Husrat Se Dekha
Hoga Pariyon Se Sunder Yeah Insaaan, Alfaaaz Bhi Kum Parte Hain
Kahne Ko Aisi Hai Meri Jaaaaaaaaan
Yeh na kah sakta main, kal kya
de sakoonga par hai yeh waada wafa ka, tujh ko dil main
rakhoonga gar chali gaye mujh se, ek qadam bhi jo tum aaage yeh na
bhoolna sanam, har kasam main rakhoonga moor ke jo tum dekho, aur nazar
main gar aaaooon bewafa na tum kahna, warna main ro paroonga agar
hue jo na poore, kal armaaan apne dil ke rub ki marzi samajh kar, mujhe
bakhsh dena mujh ko rokegi na koi sargosh-e-dil ki is toote khwab
ke, saye par bhi main chaloonga |
Kis ko khabar thi ke
yeh aftaab ghuroob ho jayega Uska chiraagh-e-dil mujh pay ayoob ho
jayega
Hum ne unki Silvaton ko bhi lahron ka darjaa
diya Kya pata tha Ghussa unko khoob ho
jayega
Kaise
Kahoon Main Tum Se, Apne Is Dil Ki Baat
Himmmmat To Ki Itni, Labon Ne Par Na Diya Saath Apni Yeh Chaahat
Le Kar
Karoon Main Ab Tujhse Kya Izhaar Din To Kat
Jaate Hain Kat ti Nahi Yeh Raaat
Hota hai kabhi aisa In shaam
ki fizaaon main Madhosh hote hain do dil Ek duje ke hon jab bahon
main........... Hota hai kabhi aisa Ho chaandni jab khul ke raaton
main So jaaten hain her aashiq Kho ke mehboob ki yaadon
main......... Hota hai kabhi aisa Jab khushboo uski her saanson
main Tarpaati hai yaad sanam ki Thandi thandi raaton
main............ Ho jayega ab aisa In hi baaton baaton main Tum
ho jaogi yoon meri Jaise do jism ho ek saanson main
..............
Teri Judaai Se Hai Duniya Ka Her
Ghum Yaadain Teri,
Mere Dil Ka Mur-Hum Khyalon Main Ho Tum
Mere Her Dum Bus Jao Aaa Ke Dil
Main Aye Hum Dum
Tera Chehra, Teri
Yaadain Her Pal
Mere Saath Raheeen Teri Batain Dharkan
Ban Ke
Rug Rug Main Din Raat
Baheeen
Neend Uri Aaankhon Se Ab
To Jeena Bhi Dushwaaar
Hua Tu Hai Ab Is Dil Ki
Dharkan
Main Tera Dil Daar Hua
Pyar Me Main Us Ke, Duniya Ko Bhula Doonga Dil
Ka Rishta Hai, Main Jaan Luta Doonga
Phoolon Si Meri Janam,
Kanton Main Na Ulajh Jaye
Her Zakhm Uske Dil Ke, Apne Seene Pe Utha
Loonga Ishq Yeaaaah
Mera, Use Maghroor Kar Jaye Toot Ke Main
Us Ko, Itna Use Chahoonga
Bus Yehi Dua Hai Meri, Woh Bani Rahe Her
Dum Meri Mili Gar Woh Na Mujhe, Kaise
Jeee Paaaoonga
Jis ki khushboo se hai phoolon
ki mahak Jis ki saanson se chale thandi pawan
(hawa) Jis ki aankhon ki chamak se duniya raushan Jis ki her baat
aisi jaise shayar ki ghazal Jis ke husn
se lage chandon ko grahan Woh koi khwab
nahi, tum ho hum dum
Is dil ne tujh main jaane kya
dekha Zindagi ki dhoop, muhabbat ka
saweraa dekha Khoye khoye si zindagi thee
meri Tu aaye to khuli aankh ne bhi sapna
dekha Jo aati hai tu hut te hue aanchal
se nazar Aisa lagta hai badlon ke peeche
se chaand ka chehra dekha Jis ki talaash
thee is veerane dil ko ab tak Tujh main
woh khushi, her lamha woh SUNAHRA
dekha
Chahak Uthi Hai Har Ek Shaye Is
Zamaane Main Teri Aamud Se Mere Dil Ke
Aashiyane Main
Ise Nadaani Kaho Ya Pyar, Chahe
Ishq Ka Parwaaz Yeh Diwangi Sahi, Par Sirph
Dillagi Nahi
Kal na kah saka tha main tum
se Aaj na kah paoonga phir tum ko Kal phir kya ho kis ko
maloom Kyon na phir aaj hi kah doon yeh tum se Hamain mohabbat hai,
sirf, aur sirf tum se Ab chahe jo kal ko ho manzoor Ab chahe jo aaj
ho mumkin Hum ne kar di iqbal e ishq ki Ab jo saza ho woh qubul
hai
Kahaan Se Shuru Karoon Afsane
Apne,Kahaan Tamaam Karoon Apni Muhabbat Ka Hi
Bas Main Ab Kalaam Parhoon Na Waldain Ki Izzat Ki Jitni
Apni Dilbar Ka Main Itna Ihtiraam
Karoon
Jab Tak Zindagi Se Na Wabista Woh
Mere
Apne Khwabon
Main Hi Unko Mehmaan Karoon Dastoor-E-Duniya Se Mujhe Kya
Lena
Ab Chahe Khud Ko Hi Kyon Na Badnaam Karoon
Agar Degree Bhi Na Mili To Kya Gham Hai
Apne Mahboob Ko Agar Apne Naam Karoon
Apni Nakaami Ka Na Hai Dar Mujhe
Bus Dar Hai Khud Ko Na Viraaan Karoon
Ab Zindagi Se Koi Aarzoo Hi Nahi
Bus
Marne Se Pehle Apna Yeh Ek Kaam Karoon
|